Phir mujhe dida-e-tar yaad aaya
Dil jigar tishna-e-fariyad aaya
Dam liya tha na qayamat ne hanuz
Phir tera vaqt-e-safar yaad aaya
Sadgi-ha-e-tamanna yaani
Phir vo nairang-e-nazar yaad aaya
Uzr-e-vamandagi ai hasrat-e-dil
Naala karta tha jigar yaad aaya
Zindagi yun bhi guzar hi jaati
Kyun tera rahguzar yaad aaya
Kya hi rizvan se ladai hogi
Ghar tera khuld mei gar yaad aaya
Aah vo jurat-e-fariyad kahan
Dil se tang aa ke jigar yaad aaya
Phir tere uche ko jaata hai khayal
Dil-e-gum-gashta magar yaad aaya
Koi virani si virani hai
Dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
Main ne majnun pe ladakpan mei 'Asad'
Sang uthaya tha ki sar yaar aaya
No comments
Post a Comment