Phir huwa vaqt ki ho bal-kusha mauj-e-sharab
De bat-e-mai ko dil-o-dast-e-shana mauj-e-sharab
Puchh mat vajh-e-siyah-masti-e-arbab-e-chaman
Saya-e-tak mei hoti hai hava mauj-e-sharab
Jo huwa gharqa-e-mai bakht-e-rasa rakhta hai
Sar se guzre pe bhi hai bal-e-huma mauj-e-sharab
Hai ye barsat vo mausam ki ajab kya hai agar
Mauj-e-gul mauj-e-shafaq mauj-e-saba mauje-sharab
Jis qadar ruh-e-nabati hai jigar tishna-e-naz
De hai taskin ba-dam-e-ab-e-baqa, mauj-e-sharab
Ba-ki daude hai rag-e-tak mei khoon ho ho kar
Shahpar-e-rang se hai bal-kusha mauj-e-sharab
Mauja-e-gul se charaghan hai guzar-gah-e-khayal
Hai tasavvur mei z-baz jalva-numa mauj-e-sharab
Nashshe ke parde mei hai mahv-e-tamasha-e-dimagh
Bas-ki rakhti hai sar-e-nash-e-numa mauj-e-sharab
Ek aalam pe hain tufani-e-kaifiyat-e-fasl
Mauja-e-sabza-e-nau-khez se ta mauj-e-sharab
Sharh-e-hamgama-e-hasti hai zahe mausam-e-gul
Rah-bar-e-qatra-ba-dariya hai khosha mauj-e-sharab
Hosh udte hain mere jalva-e-gul dekh 'Asad'
Phir huwa vaqt ki ho bal-kusha mauj-e-sharab
No comments
Post a Comment