Saturday, 6 October 2018

PAR-NAZR-E-KARAM TOHFA HAI SHARM-E-NA-RASAI KA


Pae-nazr-e-karam tohfa hai sharm-e-na-rasai ka
Ba-khoon-ghaltida-e-sad-rang daava parsai ka

Na ho husn-e-tamasha-dost rusva bevafai ka
Ba-mohr-e-sad-nazar sabit hai daava parsai ka

Zakat-e-husn de ai jalva-e-binish ki mehr-asa
Charagh-e-khana-e-darvesh ho kaasa gadai ka

Na maara jaan kar be-jurm ghafil teri gardan par
Raha manind-e-khoon-e-be-gunah haq ashnai ka

Tamanna-e-zaban mahv-e-sipas-e-be-zabani hai
Mita jis se taqaza shikva-e-be-dast-o-pai ka

Vahi ik baat hai jo yaan nafas nikhat-e-gul hai
Chaman ka jalva baais hai meri rangin-navai ka

Dahan-e-har-but-e-paighara-ju zanjir-e-rusvai
Adam tak bevafa charcha hai teri bevafai ka

Na de naale ko itna tuul 'Ghalib' mukhtasar likh de
Ki hasrat-sanj hun arz-e-sitam-ha-e-judai ka

Jahan mit jaae sai-e-did khizrabad-e-asaish
Be-jeb-e-har-nigah pinhan hai hasil rahnumai ka

Ba-ijz-abad vahm-e-mudda tasli-e-shokhi hai
Taghaful ko na kar masruf-e-tamkin-azmai ka

'Asad' ka qissa tulani lekin mukhtasar ye hai
Ki hasrat-kash raha arz-e-sitam-ha-e-judai ka

Havas gustakhi-e-aaina taklif-e-nazar-bazi
Ba-jeb-e-arzu pinhan hai hasil dilrubai ka

Nazar-bazi tilism-e-vahshat-abad-e-paristan hai
Raha begana-e-tasir afsun ashnai ka

Na paaya dardmand-e-duri-e-yaran-e-yak-dil ne
Savad-e-khatt-e-peshani se nuskha momyai ka

'Asad' ye ijz-o-be-samani-e-firaun-e-tavam hai
Jise tu bandagi kahta hai daava hai khudai ka

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.