Pa-ba-daman ho raha hun bas-ki main sahra-navard
Khar-e-pa hain jauhar-e-aaina-e-zanu mujhe
Dekhna halat mere dil ki ham-aghoshi ke vaqt
Hai nigah-e-ashna tera sar-e-har-mu mujhe
Hun sarapa saz-e-ahang-e-shikayat kuchh na puchh
Hai yahi behtar ki logon mei na chhede tu mujhe
Bais-e-vamandgi hai umr-e-fursat-ju mujhe
Kar diya hai pa-ba-zanjir-e-ram-e-ahu mujhe
Khak-e-fursat bar-sar-e-zauq-e-fana ai intizar
Hai ghubar-e-shisha-e-saat ram-e-ahu mujhe
Ham zaban aaya nazar fikr-e-sukhan mei tu mujhe
Mardumuk hai tuti-e-aaina-e-zanu mujhe
Yad-e-mizhgan mei ba-nashtar-e-zar-e-sauda-e-khayal
Chahiye vaqt-e-tapish yak-dast sad-pahlu mujhe
Iztirab-e-umr be-matlab nahin akhir ki hai
Justuju-e-fursat-e-rabt-e-sar-e-zanu mujhe
Chahiye darman-e-rish-e-dil bhi tegh-e-yar se
Maram-e-zangar hai vo vasma-e-abru mujhe
Kasrat-e-jaur-o-sitam se ho gaya hun be-dimagh
Khub-ruyon ne banaya 'Ghalib'-e-bad-khu mujhe
Fursat-e-aram-e-ghash hasti hai bohran-e-adam
Hai shikast-e-rang-e-imkan gardish-e-pahlu mujhe
Saz-e-aaina-e-fana hai alam-e-piri 'Asad'
Qamat-e-kham se hai hasil shokhi-e-abru mujhe
No comments
Post a Comment