Nikohish hai saza fariyadi-e-be-dad-e-dilbar ki
Mabada khanda-e-dandan-numa ho subh mahshar ki
Rag-e-laila ko khak-e-dasht-e-majnun reshgi bakhshe
Agar bove baja-e-dana dahqan nok nishtar ki
Par-e-parvana shayad badban-e-kashti-e-mai tha
Hui majlis ki garmi se ravani daur-e-saghar ki
Karun be-dad-e-zauq-e-pur-fishani arz, kya qudrat!
Ki taqat ud gayi udne se pahle mere shahpar ki
Kahan tak rouun us ke kheme ke pichhe qayamat hai
Meri qismat mei ya-rab kya na thi divar patthar ki
Ba-juz divangi hota na anjam-e-khud-arai
Agar paida na karta aaina zanjir jauhar ki
Ghurur-e-lutf-e-saqi nashsha-e-be-baki-e-mastan
Nam-e-daman-e-isyan hai taravat mauj-e-kausar ki
Mera dil mangte hain ariyat ahl-e-havas shayad
Ye jaana chahte hain aaj davat mei samundar ki
'Asad' juz ab-e-bakhshidan ze-dariya khizr ko kya tha
Dubota chashma-e-haivan mei gar kashti sikandar ki
No comments
Post a Comment