Naved-e-amn hai bedad-e-dost jaan ke liye
Rahi na tarz-e-sitam koi asman ke liye
Bala se gar mizha-e-yar tishna-e-khoon hai
Rakhun kuchh apni bhi mizhgan-e-khoon fishan ke liye
Vo zinda ham hain ki hain ru-shanas-e-khalq ai khizr
Na tum ki chor bane umr-e-javedan ke liye
Raha bala mei bhi main mubtala-e-afat-e-rashk
Bala-e-jan hai ada teri ik jahan ke liye
Falak na duur rakh us se mujhe ki main hi nahin
Daraz-dasti-e-qatil ke imtihan ke liye
Misal ye meri koshish ki hai ki murgh-e-asir
Kare qafas men faraham khas ashiyan ke liye
Gada samajh ke vo chup tha meri jo shamat aai
Utha aur uth ke qadam main ne pasban ke liye
Ba-qadr-e-shauq nahin zarf-e-tangna-e-ghazal
Kuchh aur chahiye vusat mere bayan ke liye
Diya hai khalq ko bhi ta oose nazar na lage
Bana hai aish tajammul husain khaan ke liye
Zaban pe bar-e-khudaya ye kis ka naam aaya
Ki mere nutq ne bose meri zaban ke liye
Nasir-e-daulat-o-din aur muin-e-millat-o-mulk
Bana hai charkh-e-barin jis ke astin ke liye
Zamana ahd mei us ke hain mahv-e-araish
Banenge aur sitare ab asman ke liye
Varaq tamam huwa aur madh baaqi hai
Safina chahiye is bahr-e-be-karan ke liye
Ada-e-khas se 'Ghalib' huwa hai nukta-sara
Sala-e-am hai yaran-e-nukta-dan ke liye
No comments
Post a Comment