Nukta-chin hai gham-e-dil us ko sunae na bane
Kya bane baat jahan baat batae na bane
Main bulata to hun us ko magar ai jazba-e-dil
Us pe ban jaae kuchh aisi ki bin aae na bane
Khel samjha hai kahin chhod na de bhool na jaae
Kaash yun bhi ho ki bin mere satae na bane
Ghair phirta hai liye yun tere khat ko ki agar
Koi puchhe ki ye kya hai to chhupae na bane
Us nazakat ka bura ho vo bhale hain to kya
Haath aaven to unhen haath lagae na bane
Kah sake kaun ki ye jalvagari kis ki hai
Parda chhoda hai vo us ne ki uthae na bane
Maut ki raah na dekhun ki bin aae na rahe
Tum ko chahun ki na aao to bulae na bane
Bojh vo sar se gira hai ki uthae na bane
Kaam vo aan pada hai ki banae na bane
Ishq par zor nahin hai ye vo atish 'Ghalib'
Ki lagae na lage aur bujhae na bane
No comments
Post a Comment