Naya ik rishta paida kyun karen ham
Bichhadna hai to jhagda kyun karen ham
Khamoshi se ada ho rasm-e-duri
Koi hangama barpa kyun karen ham
Ye kaafi hai ki ham dushman nahin hain
Vafa-dari ka daava kyun karen ham
Vafa ikhlas qurbani mohabbat
Ab in lafzon ka pichha kyun karen ham
Hamari hi tamanna kyun karo tum
Tumhari hi tamanna kyun karen ham
Kiya tha ahd jab lamhon mei ham ne
to saari umr iifa kyun karen ham
Nahin duniya ko jab parva kyun karen ham
Ye basti hai musalmanon ki basti
Yahan kar-e-masiha kyun karen ham


No comments
Post a Comment