Ranj hai halat-e-safar hal-e-qayam ranj hai
Subh-ba-subh ranj hai sham-ba-sham ranj hai
Us ki shamim-e-zulf ka kaise ho shukriya ada
Jab ki shamim ranj hai jab ki masham ranj hai
Said to kya ki said-kar khud bhi nahin ye janta
Daana bhi ranj hai yahan yaani ki daam ranj hai
Mani-e-javedan-e-jan kuchh bhi nahin magar ziyan
Saare kalim hain zubun saara kalam ranj hai
Baaba alif meri numud ranj hai aap ke ba-qaul
Kya mera naam bhi hai ranj haan tera naam ranj hai
Kaasa gadagari ka hai naf-piyala yaar ka
Bhook hai vo badan tamam vasl tamam ranj hai
Jiit ke koi aae tab haar ke koi aae tab
Jauhar-e-tegh sharm hai aur niyam ranj hai
Dil ne padha sabaq tamam buud to hai qalaq tamam
Haan mera naam ranj hai haan tera naam ranj hai
Paik-e-qaza hai dam-ba-dam 'Jaun' qadam qadam shumar
laghzish-e-gam ranj hai husn-e-khiram ranj hai
Baaba alif ne shab kaha nashsha-ba-nashsha kar gile
Jura-ba-jura ranj hai jam-ba-jam ranj hai
Aam pe ho madar kya buud ke rozgar ka
Dam hama-dam hai duun ye dam vahm-e-davam ranj hai
Razm hai khoon ka hazar koi bahae ya bahe
Rustam o zaal hain malal yaani ki saam ranj hai


No comments
Post a Comment