Nashsha-e-shauq-e-rang mei tujh se judai ki gai
Ek lakir khoon ki bich mei khinch di gai
Thi jo kabhi sar-e-sukhan meri vo khamoshi gai
Haae kuhan-e-sinan ki baat haae vo baat hi gai
Shauq ki ek umr mei kaise badal sakega dil
Nabz-e-junun hi to thi shahr mei dubti gai
Us ki gali se uth ke main aan pada tha apne ghar
Ek gali ki baat thi aur gali gali gai
Us ki ummiid-e-naaz ka mujhe se ye maan tha ki aap
Umr guzar dijiye umr guzar di gai
Daur-ba-daur dil-ba-dil dard-ba-dard dam-ba-dam
Tere yahan riayat-e-hal nahin rakhi gai
'Jaun' junub-e-zard ke khak-basar ye dukh utha
Mauj-e-shumal-e-sabz-jan aai thi aur chali gai
Kya vo guman nahin raha haan vo guman nahin raha
Kya vo ummiid bhi gai haan vo umiid bhi gai


No comments
Post a Comment