Naam hi kya nishan hi kya khvab-o-khayal ho gae
Teri misal de ke ham teri misal ho gae
Saya-e-zat se bhi ram aks-e-sifat se bhi ram
Dasht-e-ghazal mei aa ke dekh ham to ghazal ho gae
Kahte hi nashsha-ha-e-zauq kitne hi jazba-ha-e-shauq
Rasm-e-tapak-e-yar se ru-ba-zaval ho gae
Ishq hai apna paedar teri vafa hai ustuvar
Ham to halak-e-varzish-e-farz-e-muhal ho gae
Jada-e-shauq mei pada qaht-e-ghubar-e-karvan
Vaan ke shajar to sar-ba-sar dast-e-saval ho gae
Sakht zamin-parast the ahd-e-vafa ke pasdar
Ud ke bulandiyon mei ham gard-e-malal ho gae
Qurb-e-jamal aur ham aish-e-visal aur ham
Haan ye hua ki sakin-e-shahr-e-jamal ho gae
Ham-nafasan-e-vaza-dar mustamian-e-burd-bar
Ham to tumhare vaste ek vabal ho gae
Kaun so qafila hai ye jis ke jaras ka hai ye shor
Main to nidhal ho gaya ham to nidhal ho gae
Khar-ba-khar gul-ba-gul fasl-e-bahar aa gai
Fasl-e-bahar aa gai zakhm bahal ho gae
Shor utha magar tujhe lazzat-e-gosh to mili
Khoon baha magar tere haath to laal ho gae
'Jaun' karoge kab talak apna misaliya talash
Ab kai hijr ho chuke ab kai saal ho gae


No comments
Post a Comment