Na kisi pe zakhm ayaan koi na kisi ko fikr rafu ki hai
Na karam hai ham pe habib ka na nigah ham pe adu ki hai
Saf-e-zahidan hai to be-yaqin saf-e-mai-kashan hai to be-talab
Na vo subh vird-o-vazu ki hai na vo shaam jam-o-subu ki hai
Na ye gham naya na sitam naya ki teri jafa ka gila karen
Ye nazar thi pahle bhi muztarib ye kasak to dil mei kabhu ki hai
Kaf-e-baghban pe bahar-e-gul ka hai qarz pahle se besh-tar
Ki har ek phool ke pairahan mei numud mere lahu ki hai
Nahin khauf-e-roz-e-siyah hamen ki hai 'Faiz' zarf-e-nigah mei
Abhi gosha-gir vo ik kiran jo lagan us aaina-ru ki hai


No comments
Post a Comment