Saturday, 6 October 2018

NA HOGA YAK-BAYABAN MANDGI SE ZAUQ KAM MERA


Na hoga yak-bayaban mandgi se zauq kam mera
Habab-e-mauja-e-raftar hai naqsh-e-qadam mera

Mohabbat thi chaman se lekin ab ye be-dimaghi hai
Ki mauj-e-bu-e-gul se naak mei aat hai dam mera

Rah-e-khvabida thi gardan-e-kash-e-yak-dars-e-agahi
Zamin ko saili-e-ustad hai naqsh-e-qadam mera

Suragh-avara-e-arz-e-do-alam shor-e-mahshar hun
Par-afshan hai ghubar aan su-e-sahra-e-adam mera

Hava-e-subh yak-alam gareban chaki-e-gul hai
Dahan-e-zakhm paida kar agar khata hai gham mera

Na ho vahshat-kash-e-dars-e-sarab-e-star-e-agahi
Main gard-e-rah hun be-mudda hai pech-o-kham mera

'Asad' Vahshat-parast-e-gosha-e-tanhai-e-dil hai
Ba-rang-e-mauj-e-mai  khamyaza-e-saghar hai ram mera

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.