Saturday, 6 October 2018

NA HUI GAR MERE MARNE SE TASALLI NA SAHI


Na hui gar mere marne se tasalli na sahi
Imtihan aur bhi baaqi ho to ye bhi na sahi

Khaar khar-e-alam-e-hasrat-e-didar to hai
Shauq gul-chin-e-gulistan-e-tasalli na sahi

Mai-parastan khoon-e-mai muh se lagae hi bane
Ek din gar na huwa bazm mei saaqi na sahi

Nafas-e-qais ki hai chashm-o-charagh-e-sahra
Gar nahin sham-e-siyah-khana-e-laili na sahi

Ek hangame pe mauquf hai ghar ki raunaq
Nauha-e-gham hi sahi naghma-e-shadi na sahi

Na sataish ki tamanna na sile ki parva
Gar nahin hain mere ashaar mei maani na sahi

Ishrat-e-sohbat-e-khuban hi ghanimat samjho
Na hui 'Ghalib' agar umr-e-tabii na sahi

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.