Na gul-e-naghma hun na parda-e-saz
Main hun apni shikast ki avaaz
Tu aur araish-e-kham-e-kakul
Main aur andesha-ha-e-dur-daraz
Laf-e-tamkin fareb-e-sada-dili
Ham hain aur raz-ha-e-sina-gudaz
Hun giraftar-e-ulfat-e-sayyad
Varna baaqi hai taqat-e-parvaz
Vo bhi din ho kis us sitamgar se
Naaz khinchun bajae hasrat-e-naz
Nahin dil mei mere vo qatra-e-khoon
Jis se mizhgan hui na ho gul-baz
Ai tera ghamza yak-qalam-angez
Ai tera zulm sar-ba-sar andaz
Tu huwa jalvagar mubarak ho
Rezish-e-sajda-e-jabin-e-niyaz
Mujh ko puchha to kuchh ghazab na huwa
Mai gharib aur tu gharib-navaz
'Asad'-ullah khaan tamam huwa
Ai darigha vo rind-e-shahid-baz
No comments
Post a Comment