Saturday, 6 October 2018

MUZHDA AI ZAUQ-E-ASARI KI NAZAR AATA HAI


Muzhda ai zauq-e-asari ki nazar aata hai
Dam-e-khali qafas-e-murgh-e-giraftar ke paas

Jigar-e-tishna-e-azar tasalli na huwa
Ju-e-khoon ham ne bahai bun-e-har khaar ke paas

Mund gaiin kholte hi kholte aankhen hai hai
Khoob vaqt aae tum is ahiq-e-bimar ke paas

Main bhi ruk ruk ke na marta jo zaba ke badle
Dashna ik tez sa hota mere gham-khvar ke paas

Dahan-e-sher mei ja baithe lekin ai dil
Na khade ho jiye khuban-e-dil-azar ke paas

Dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu karta hai
Khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastar ke paas

Mar gaya phod ke sar 'Ghalib'-e-vahshi hai hai
Baithna us ka vo aa kar teri divar ke paas

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.