Na ab raqib na naseh na gham-gusar koi
Tum ashna the to thiin ashnaiyan kya kya
Juda the ham to mayassar thiin qurbaten kitni
Baham hue to padi hain judaiyan kya kya
Pahunch ke dar pe tere kitne mo'tabar thahre
Agarche rah mei huiin jag-hansaiyan kya kya
Ham aise sada-dilon ki niyaz-mandi se
Buton ne ki hain jahan mei khudaiyan kya kya
Sitam pe khush kabhi lutf-o-karam se ranjida
Sikhain tum ne hamen kaj-adaiyan kya kya


No comments
Post a Comment