Tuesday, 16 October 2018

KUCHH PAHLE IN ANKHON AAGE KYA KYA NA NAZARA GUZRE THA


Kuchh pahle in ankhon aage kya kya na nazara guzre tha
Kya raushan ho jaati thi gali jab yaar hamara guzre tha

The kitne achhe log ki jin ko apne gham se fursat thi
Sab puchhen the ahval jo koi dard ka maara guzre tha

Ab ke khizan aisi thahri vo saare zamane bhool gae
Jab mausam-e-gul har phere mei aa aa ke dobara guzre tha

Thi yaron ki bohtat to ham aghyar se bhi bezar na the
Jab mil baithe to dushman ka bhi saath gavara guzre tha

Ab to haath sujhai na deve lekin ab se pahle to
Aankh uth'te hi ek nazar mei aalam saara guzre tha

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.