Wednesday, 10 October 2018

SAR TA BA-QADAM HAI TAN-E-SULTANE ZAMAN PHOOL


Sar ta ba-qadam hai tan-e-sultane zaman phool
Lab phool, dahan phool, zakan phool, badan phool

Sadqe me tere baagh to kya laye hai ban phool
Iss guncha-e-dil ko bhi to imaa ho ki ban phool

Tinka bhi hamare to hilaye nahi hilta
Tum chaho to ho jaye abhi kohe mehan phool

Wallah jo mil jaye mere ghul ka paseena
Maange na kabhi itr na fir chahe dulhan phool

Dil-basta wa khu-gashta na khushbu na latafat
Kyu guncha bahu hai mere Aaqa ka dehan phool

Shab yaad thi kin daanto ki shabnam ki dam-e-subha
Shokhane bahari ke jada-u hai kiran phool

Bu hoke nahin ho gaye taabe rukhe shah mei
Lo ban gaye hai ab to haseeno ka dahan phool\

Ho baare gunah se na khazil doshe azeezan
Lillah meri naash kar aaye jane chaman phool

Dil apna bhi shaidayi hai us naakhun-e-pa ka
Itna bhi mahe nou pe na ay charkhe kuhan phool

Dil khol ke khu ro le game aarize shah mei
Nikle to kahi hasrat-e-khu-naaba shudan phool

Kya gaaza mala garde Madeena ka jo hai aaj
Nikhre huwe joban mei qiyamat ki faban phool

Garmi ye qiyamat hai ki kaante hai zabaan par
Bulbul ko bhi ay saaqi-e-sahba wa laban phool

Hai kaun ki girya kare ya faatiha ko aaye
Bekas ke uthae teri rehmat ke bharan phool

Dil ghum tujhe ghere khuda tujhko wo chamkaye
Suraj tere khirman ko bane teri kiran phool

Kya baat Raza us chamanistaan-e-karam ki
Zahra hai kali jisme Husain aur Hasan phool

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.