Milti hai khu-e-yar se naar iltihab mei
Kafir hun gar na milti ho rahat azaab mei
Kab se hun kya bataun jahan-e-kharab mei
Shab-ha-e-hijr ko bhi rakhun gar hisab mei
Ta phir na intizaar mei neend aae umr bhar
Aane ka ahd kar gaye aae jo khvaab mei
Qasid ke aate aate khat ik aur likh rakhun
Main janta hun jo vo likhenge javab mei
Mujh tak kab un ki bazm mei aata tha daur-e-jam
Saaqi ne kuchh mila na diya ho sharab mei
Jo munkir-e-vafa ho fareb us pe kya chale
Kyun bad-guman hun dost se dushman ke baab mei
Main muztarib hun vasl mei khauf-e-raqib se
Daala hai tum ko vahm ne kis pech-o-tab mei
Main aur hazz-e-vasl khuda-saz baat hai
Jaan nazr deni bhool gaya iztirab mei
Hai tevri chadhi hui andar naqab ke
Hai ik shikan padi hui tarf-e-naqab mei
Lakhon lagao ek churana nigah ka
Lakhon banao ek bigadna itaab mei
Vo naala dil mei khaas ke barabar jagah na paae
Jis naala se shigaf pade aftab mei
'Ghalib' chhuti sharab par ab bhi kabhi kabhi
Piita hun roz-e-abr o shab-e-mahtab mei
No comments
Post a Comment