Muddat hui hai yaar ko mehman kiye huwe
Josh-e-qadah se bazm charaghan kiye huwe
Karta hun jama phir jigar-e-lakht-lakht ko
Arsa huwa hai davat-e-mizhgan kiye huwe
Phir vaz-e-ehtiyat se rukne laga hai dam
Barson huwe nain chaak gareban kiye huwe
Phir garm-nala-ha-e-sharar-bar hai nafas
Muddat hui hai sair-e-charaghan kiye huwe
Phir bhar raha hun khama-e-mizhgan ba-khoon-e-dil
Saz-e-chaman tarazi-e-daman kiye huwe
Baham-digar huwe hain dil o diida phir raqib
Nazzara o khayal ka saman kiye huwe
Dil phir tavaf-e-ku-e-malamat ko jaae hai
Pindar ka sanam-kada viran kiye huwe
Phir shauq kar raha hai kharidar ki talab
Arz-e-mata-e-aql-o-dil-o-jaan kiye huwe
Daude hai phir har ek gul-o-lala par khayal
Sad-gulistan nigah ka saman kiye huwe
PHir chahta hun nama-e-dildar kholna
Jaan nazr-e-dil-farebi-e-unvan kiye huwe
Mange hai phir kisi ko lab-e-bam par havas
Zulf-e-siyah rukh pe pareshan kiye huwe
Chahe hai phir kisi ko muqabil mei aarzu
Surme se tez dashna-e-mizhgan kiye huwe
Ik nau-bahar-e-naz ko taake hai phir nigah
Chehra farogh-e-mai se gulistan kiye huwe
Phir ji mei hai ki dar pe kisi ke pade rahen
Sar zer-bar-e-minnat-e-darban kiye huwe
Ji dhundta hai phir vahi fursat ki raat din
Baithe rahen tasavvur-e-janan kiye huwe
'Ghalib' hamen na chhed ki phir josh-e-ashk se
Baithe hain ham tahayya-e-tufan kiye huwe
No comments
Post a Comment