Saturday, 6 October 2018

MERI HASTI FAZA-E-HASRAT ABAD-E-TAMANNA HAI


Meri hasti faza-e-hairat abad-e-tamanna hai
Jise kahte hain naala vo oosi aalam ka anqa hai

Khizan kya fasl-e-gul kahte hain kis ko koi mausam ho
Vahi ham hain qafas hai aur matam bal-o-par ka hai

Vafa-e-dilbaran hai ittifaqi varna ai hamdam
Asar fariyad-e-dil-ha-e-hazin ka kis ne dekha hai

Na laai shokhi-e-andesha tab-e-ranj-e-na-ummidi
Kaf-e-afsos milna ahd-e-tajdid-e-tamanna hai

Na sove ablon mei gar sirishk-e-dida-e-nam se
Ba-jaulan-gah-e-na-ummedi nigah-e-ajizan pa hai

Ba-sakhti-ha-e-qaid-e-zindagi malum azadi
Sharar bhi said-e-dam-e-rishta-e-rag-ha-e-khara hai

Taghaful-mashrabi se na-tamami bas-ki paida hai
Nigah-e-naz chashm-e-yar mei zunnar-e-mina hai

Tasarruf vahshiyon mei hai tasavvur-ha-e-majnun ka
Savad-e-chashm-e-ahu aks-e-khal-e-ru-e-laila hai

Mohabbat tarz-e-paivand-e-nihal-e-dosti jaane
Davidan resha saan muft-e-rag-e-khvab-e-zulekha hai

Kiya yak-sar gudaz-e-dil niyaz-e-joshish-e-hasrat
Suvaida nusha-e-tah-bandi-e-dagh-e-tamanna hai

Hujum-e-rezish-e-khoon ke sabab rang ud nahin sakta
Hina-e-panja-e-saiyyad murgh-e-rishta bar-pa hai

Asar soz-e-mohabbat ka qayamat be-muhaba hai
Ki rag se sang mei tukhm-e-sharar ka resha paida hai

Nihan hai gauhar-e-maqsud jeb-e-khud-shanasi mei
Ki yaan ghavvas hai timsal aur aaina dariya hai

Azizo zikr-e-vasl-e-ghair se mujh ko na bahlao
Ki yaan afsun-e-khvab afsana-e-khvab-e-zulaikha hai

Tasavvur bahr-e-taskin-e-tapidan-ha-e-tifl-e-dil
Ba-bagh-e-rang-ha-e-rafta gul-chin-e-tamasha hai

Ba-sai-e-ghair hai qat-e-libas-e-khana-virani
Ki naz-e-jada-e-rah rishta-e-daman-e-sahra hai

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.