Manzur thi ye shakl tajalli ko noor ki
Qismat khuli tere qad o rukh se zuhur ki
Ik khoon-chakan kafan mei karodon banao hain
Padti hai aankh tere shahidon pe hoor ki
Vaaiz na tum piyo na kisi ko pila sako
Kya baat hai tumhari sharab-e-tuhur ki
Ladta hai mujh se hashr mei qatil ki kyun utha
Goya abhi suni nahin avaz soor ki
Aamad bahar ki hai jo bulbul hai naghma-sanj
Udti si ik khabar hai zabani tuyur ki
Go vaan nahin pe vaan ke nikale huwe to hain
Kaabe se in buton ko bhi nisbat hai door ki
Kya farz hai ki sab ko mile ek sa javab
Aao na ham bhi sair karen koh-e-tur ki
Garmi sahi kalam mei lekin na is qadar
Ki jis se baat us ne shikayat zurur ki
'Ghalib' gar is safar mei mujhe saath le chalen
Haj ka savab nazr karunga huzur ki


No comments
Post a Comment