Mana-e-dasht-navardi koi tadbir nahin
Ek chakkar hai mere paanv mei zanjir nahin
Shauq us dasht mei daudaye hai mujh ko ki jahan
Jaada ghair az nigah-e-deeda-e-tavir nahin
Hasrat-e-lazzat-e-azar rahi jaati hai
Jada-e-rah-e-vafa juz dam-e-shamshir nahin
Ranj-e-na-ummeedi-e-javed gavara rahiyo
Khush hun gar nala-zabuni kash-e-tasir nahin
Sar khujata hai jahan zakhm-e-sar achchha ho jae
Lazzat-e-sang ba-andaza-e-taqrir nahin
Jab karam rukhsat-e-bebaki-o-gustakhi de
Koi taqsir ba-juz khajlat-e-taqsir nahin
'Ghalib' apna ye aqida hai ba-qaul-e-'nasikh'
Aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'Meer' nahin
'Meer' ke sher ka ahval kahun kya 'Ghalib'
Jis ka divan kam-az-gulshan-e-kashmir nahin
Aaina daam ko parde mei chhupata hai abas
Ki pari-zad-e-nazar qabil-e-taskhir nahin
Misl-e-gul zakhm hai mera bhi sinan se tavvam
Tera tarkash hi kuchh abistani-e-tiir nahin


No comments
Post a Comment