Thursday, 4 October 2018

MASJID KE ZER-E-SAYA KHARABAT CHAHIYE


Masjid ke zer-e-saya kharabat chahiye
Bhaun paas aankh qibla-e-hajat chahiye

Ashiq huwe hain aap bhi ek aur shakhs par
Akhir sitam ki kuchh to mukafat chahiye

De daad ai falak dil-e-hasrat-parast ki
Haan kuchh na kuchh talafi-e-mafat chahiye

Sikhe hain mah-rukhon ke liye ham musavvari
Taqrib kuchh to bahr-e-mulaqat chahiye

Mai se gharaz nashat hai kis ru-siyah ko
Ik guna be-khudi mujhe din raat chahiye

Nashv-o-numa hai asl se 'Ghalib' furu ko
Khamoshi hi se nikle hai jo baat chahiye

Hai rang-e-lala-o-gul-o-nasrin juda juda
Har rang mei bahar ka isbat chahiye

Sar par-e-khum pe chahiye hamgam-e-be-khudi
Ru su-e-qibla vaqt-e-munajat chahiye

Yaani ba-hasb-e-gardish-e-paimana-e-sifat
Aarif hamesha mast-e-mai-e-zat chahiye

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.