Lutf unka aam ho hi jaega
Shaad har nakaam ho hi jaega
Jaan de do waada-e-deedar par
Naqd apna daam ho hi jaega
Shaad hair firdous yani ek din
Qismat-e-khuddam ho hi jaega
Yaad rah jaegi ye be-baakiya
Nafs tu to raam ho hi jaega
Be nishano ka nishaan mit-ta nahin
Mit-te-mit-te naam ho hi jaega
Yaad-e-ghesu zikr-e-haq aah kar
Dil mei paida laam ho hi jaega
Ek din aawaaz badlenge ye saaz
Chah-chaha kohram ho hi jaega
Sailo daaman sakhee ka thaam lo
Kuch na kuchh Inaam ho hi jaega
Yaad-e-aabru karke tadpe bulbulo
Tukde tukde daam ho hi jaega
Mufliso unki gali mei jaa pado
Baagh-e-khuld ikraam ho hi jaega
Gar yuhi rehmat ki taawile rahi
Madhaa har ilzaam ho hi jaega
Baada khwari ka samaa badhne to do
Shaikh durd-ashaam ho hi jaega
Gham to unko bhulkar lipta hai yun
Jaise apna kaam ho hi jaega
Mit ki gar yuhi raha karz-e-hayaat
Jaan ka nilaam ho hi jaega
Aaqilo un ki nazar seedhi rahe
Borwo ka bhi kaam ho hi jaega
Ab to layi hai shafaat afw par
Badhte badhte aam ho hi jaega
Ay Raza har kaam ka ik waqt hai
Dil ko bhi aaraam ho hi jaega

No comments
Post a Comment