Monday, 8 October 2018

LAHAD MEIN ISHQ-E-RUKH SHAH KA DAAGH LE KE CHALE


Lahad mein ishq-e rukh shah ka daagh le ke chale
Andheri raat suni thi chiraagh le ke chale

Tere ghulamon ka naqshe qadam hai raahe khuda
Wo kya behak sake jo ye suraagh le ke chale

Jinaan banegi muhibbaane chaar yaar ki qabr
Jo apne seene mei ye chaar baagh le ke chale

Gaye, ziyaarate dar ki sad aah waapas aaye
Nazar ke ashq puche dil ka daagh le ke chale

Madina jaane jinaano jahaan hai wo sun le
Jinhe junooone jinaan suye jaagh le ke chale

Tere sahaabe sukhan se na nam ki nam se bhi kam
Baleegh bahre balaaghat balaagh le ke chale

Huzoore taiba se bhi koi kaam badh kar hai
Muhaal hai ki majaalo masaagh le ke chale

Gila nahin hai mureede rasheede shaitaan se
Ki us ke wusate ilmi ka laagh le ke chale

har ek apne bade ki badaayi karta hai
Har ek mugbacha mug ka ka ayaagh le ke chale

Magar khuda pe jo dhabba darogh ka thopa
Ye kis laaen ki ghulami ka daagh le ke chale

Wuquye kizb ke maani durust aur quddoos
Hiye ki foote ajab sabz baagh le ke chale

Jahaan mei koi bhi kaafir sa kaafir aisa hai
Ki apne rab pe safaahat ka daagh le ke chale

Padi hai andhe ko aadat ki shorbe hi se khaaye
Bater haath na aayi to zaagh le ke chale

Khabees bahre khabeesa khabeesa bahre khabees
Ki saath jins ko baazo kulaagh le ke chale

jo deen kawwon ko de baithe un ko yaksaan hai
Kulaagh le ke chale ya ulaagh le ke chale

Raza kisi sage Taiba ke paau bhi chume
Tum aur aah ki itna dimaagh le ke chale

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.