Kya mehekte hain mehekne wale
Boo pe chalte hain bhatakne wale
Jagmaga uthi meri gor ki khaak
Tere qurbaan chamakne wale
Mahe bedaag ke sadqe jaaun
Yun damakte hain damakne wale
Arsh tak phaili hai taab-e-aariz
Kya jhalakte hain jhalakne wale
Gul-e-taiba ki sana gaate hain
Nakhl-e-tooba pe chahekne wale
Aasiyo! thaam lo daaman un ka
Wo nahin haath jhatakne wale
Abr-e-rehmat gaahe jaanan hain
Kuch adab bhi hain phadakne wale
Are ye jalwa gaahe jaanan hain
Kuch adab bhi hain phadakne wale
Sunniyon, un se madad maange jao
Pade bakte rehte hain bakne wale
Shame yaad-e-rukh-e-jaanan na bujhe
Khaak ho jaae bhadakne wale
Maut kehti hai ke jalwa hai Qareeb
Ek zaraa so lein bilakne wale
Hum bhi khumhlaane se gaafil the kabhi
Kya hansa gunche chatakne wale
Nakhl se chhutke ye kya haal huwa
Aah, o patte khadakne wale
Jab gire muh sooye maikhana tha
Hosh mei hain ye behekne wale
Dekh-o-zakhm-e-dil aape ko sambhal
Phoot behte hain tapakne wale
Mae kahan aur kahan main zaahid
Yun bhi to chhakte hai chhakne wale
Kaf-e-dariya-e-karam mei hai Raza
Paanch fawware chhalakne wale
No comments
Post a Comment