Latafat be-kasafat jalva paida kar nahin sakti
Chaman zangar hai aaina-e-bad-e-bahari ka
Harif-e-joshish-e-dariya nahin khuddari-e-sahil
Jahan saaqi ho tu batil hai daava hoshiyari ka
Bahar-e-rang-e-khoon-e-gul hai saman ashq-bari ka
Junun-e-barq nashtar hai rag-e-abr-e-bahari ka
Bara-e-haal-e-mushkil hun zi-pa uftada-e-hasrat
Bandha hai uqda-e-khatir se paiman khaksari ka
Ba-vaqt-e-sar-niguni hai tasavvur intizaristan
Nigah ko ablon se shaghl hai akhtar-shumari ka
'Asad' saghar-kash-e-taslim ho gardish se gardun ki
Ki nang-e-fahm-e-mastan hai gila bad-rozgari ka


No comments
Post a Comment