Thursday, 4 October 2018

LAZIM THA KI DEKHO MERA RASTA KOI DIN AUR


Lazim tha ki dekho mera rasta koi din aur
Tanha gae kyun ab raho tanha koi din aur

Mit jaega sar gar tera patthar na ghisega
Hun dar pe tere nasiya-farsa koi din aur

Aae ho kal aur aaj hi kahte ho ki jaaun
Maana ki hamesha nahi achchha koi din aur

Jaate huwe kahte ho qayamat ko milenge
Kya khoob qayamat ka hai goya koi din aur

Haan ai falak-e-par javan tha abhi aarif
Kya tera bigadta jo na marta koi din aur

Tum mah-e-shab-e-char-dahum the mere ghar ke
Phir kyun na raha ghar ka Vo naqsha koi din aur

Tum kaun se the aise khare dad-o-sitad ke
Karta maluk-ul-maut taqaza koi din aur

Mujh se tumhen nafrat sahi nayyar se ladai
Bachchon ka bhi dekha na tamsha koi din aur

Guzri na bahar-hal ye muddat khush o  na-khush
Karna tha javan-marg guzara koi din aur

Nadan ho jo kahte ho ki kyun jiite hain 'Ghalib'
Qismat mei hai marne ki tamanna koi din aur

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.