Thursday, 4 October 2018

LARAZTA HAI MERA DIL ZAHMAT-E-MEHR-E-DARAKHSHAN PAR


Larazta hai mera dil zahmat-e-mehr-e-darakhshan par
Main hun vo qatra-e-shabnam ki ho khar-e-bayaban par

Na chhodi hazrat-e-yusuf ne yaan bhi khana-arai
Safedi dida-e-yaqub ki phirti hai zindan par

Fana talim-e-dars-e-be-khudi hun us zamane se
Ki majnun laam alif likhta tha deewar-e-dabistan par

Faraghat kis qadar rahti mujhe tashvish-e-marham se
Baham gar sulh karte para-ha-e-dil namak-dam par

Nahin iqlim-e-ulfat mei koi tumar-e-naz aisa
Ki pusht-e-chashm se jis ki na hove mohr unvan par

Mujhe ab dekh kar abr-e-shafaq-aluda yaad aaya
Ki furqat mei teri atish barasti thi gulistan par

Ba-juz parvaz-e-shauq-e-naz kya baaqi raha hoga
Qayamat ik hava-e-tund hai khaak-e-shahidan par

Na lad naseh se 'Ghalib' kya huwa gar us ne shiddat ki
Hamara bhi to akhir zor chahta hai gareban par

Dil-e-khunin-jigar be-sabr-o-faiz-e-ishq-e-mustaghni
Ilahi yak qayamat khavar aa tuute badakhshan par

'Asad' aai be-tahammul arbada be-ja hai naseh se
Ki akhir be-kason ka zor chalta hai gareban par

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.