Kya ye aafat nahin azaab nahin
Dil ki halat bohto kharab nahin
Buud pal pal ki be-hisabi hai
Ki muhasib nahin hisab nahin
Khoob gaav bajao aur piyo
In dinon shahr mei janab nahin
Sab bhatakte hain apni galiyon mei
Ta-ba-khud koi baryab nahin
Tu hi mera saval azal se hai
Aur sajan tera javab nahin
Hifz hai shams-e-bazgha mujh ko
Par mayassar vo mahtab nahin
Tujh ko dil-dard ka nahin ehsas
So meri pindliyon ko daab nahin
nahin judta khayal ko bhi khayal
Khvab mei bhi to koi khvab nahin
Satar-e-mu us ki zer-e-naf ki haae
Jis ki chaqu-zanon ko taab nahin
No comments
Post a Comment