Kya yaqin aur kya guman chup rah
Shaam ka vaqt hai miyan chup rah
Ho gaya qissa-e-vajud tamam
Hai ab aghaz-e-dastan chup rah
Main to pahle hi ja chuka hun kahin
Tu bhi janan nahin yahan chup rah
Tu ab aaya hai haal mei apne
Jab zamin hai na asman chup rah
Tu jahan tha jahan jahan tha kabhi
Tu bhi ab to nahin vahan chup rah
Zikr chheda khuda ka phir tu ne
Yaan hai insan bhi raegan chup rah
Saara sauda nikla de sar se
Ab nahin koi astan chup rah
Ahrman ho khuda ho ya aadam
Ho chuka sab ka imtihan chup rah
Darmiyani hi ab sabhi kuchh hai
Tu nahin apne darmiyan chup rah
Ab koi baat teri baat nahin
Nahin teri teri zaban chup raha
Hai yahan zikr-e-hal-e-maujudan
Tu hai ab az-guzishtagan chup rah
Hijr ki jan-kani tamam hui
Dil hua 'Jaun' be-aman chup rah
No comments
Post a Comment