Lamhe lamhe ki na-rasai hai
Zindagi halat-e-judai hai
Mard-e-maidan huun apni zaat ko main
Main ne sab se shikast khaai hai
Ik ajab haal hai ki ab us ko
Yaad karna bhi bevafai hai
Ab ye surat hai jan-e-jan ki tujhe
Bhulne mei meri bhalai hai
Khud ko bhula huun us ko bhula huun
Umr bhar ki yahi kamai hai
Main hunar-mand-e-rang hun main ne
Khoon thuka hai daad paai hai
Jaane ye tere vasl ke hangam
Teri furqat kahan se aai hai
No comments
Post a Comment