Tuesday, 16 October 2018

KUCHH MOHTASIBON KI KHALVAT MEI KUCHH VAAIZ KE GHAR JAATI HAI


Kuchh mohtasibon ki khalvat mei kuchh vaaiz ke ghar jaati hai
Ham bada-kashon ke hisse ki ab jaam mei kam-tar jaati hai

Yuun arz-o-talab se kam ai dil patthar dli paani hote hain
Tum laakh raza ki khu daalo kab khu-e-sitamgar jaati hai

Bedad-garon ki basti hai yaan daad kahan khairat kahan
Sar phodti phirti hai nadan fariyad jo dar dar jaati hai

Haan jaan ke ziyan ki ham ko bhi tashvish hai lekin kya kiije
Har rah jo udhar ko jaati hai maqtal se guzar kar jaati hai

Ab kucha-e-dil-bar ka rah-rau rahzan bhi bane to baat bane
Pahre se adu talte hi nahin aur raat barabar jaati hai

Ham ahl-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subh-e-vatan
Yadon se moattar aati hai ashkon se munavvar jaati hai

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.