Kisi se ahd-o-paiman kar na rahiyo
To us basti mei rahiyo par na rahiyo
Safar karna hai akhir do palak beach
Safar lamba hai base bistar na rahiyo
Har ik halat ke beri hain ye lamhe
Kisi gham ke bharose par na rahiyo
Suhulat se guzar jaao meri jaan
Kahin jiine ki khatir mar na rahiyo
Hamara umr-bhar ka saath thera
So mere saath tu din-bhar na rahiyo
Bohot dushvar ho jaega jiina
Yahan to zaat ke andar na rahiyo
Savere hi se ghar aajaiyo aaj
Hai roz-e-vaqia bahar na rahiyo
Kahin chhup jao na khanon mei ja kar
Shab-e-fitna hai apne ghar na rahiyo
Nazar par baar ho jaate hain manzar
Jahan rahiyo vahan aksar na rahiyo
No comments
Post a Comment