Saturday 13 October 2018

KIS SE IZHAR-E-MUDDA KIIJE


Kis se izhar-e-mudda kiije
Aap milte nahin hain kya kiije

Ho na paaya ye faisla ab tak
Aap kiije to kya kiya kiije

Aap the jis ke chara-gar vo javan
Sakht bimar hai dua kiije

Ek hi fan to ham ne sikha hai
Jis se miliye oose khafa kiije

Hai taqaza meri tabiat ka
Har kisi ko charagh-pa kiije

Hai to baare ye alam-e-asbab
Be-sabab chikhne laga kiije

Aaj ham kya gila karen us se
Gila-e-tangi-e-qaba kiije

Nutq haivan par garan hai abhi
Guftugu kam se kam kiya kiije

Hazrat-e-zulf-e-ghaliya-afshan
Naam apna saba saba kiije

Zindagi ka ajab moamla hai
Ek lamhe mei faisla kiije

Mujh ko aadat hai ruuth jaane ki
Aap mujh ko mana liya kiije

Milte rahiye isi tapak ke saath
Bevafai ki intiha kiije

Kohkan ko hai khud-kushi khvahish
Shah-bano se iltija kiije

Mujh se kahti thiin vo sharab ankhen
Aap vo zahar mat piya kiije

Rang har rang mei hai dad-talab
Khoon thukan to vah-va kiije

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.