Kisi se koi khafa bhi nahin raha ab to
Gila karo ki gila bhi nahin raha ab to
Vo kahishen hain ki aish-e-junun to kya yaani
Ghurur-e-zehn-e-rasa bhi nahin raha ab to
Shikast-e-zat ka iqrar aur kya hoga
Ki idda-e-vafa bhi nahin raha ab to
Chune huwe hain labon par tere hazar javab
Shikayaton ka maza bhi nahin raha ab to
Huun mubtala-e-yaqin meri mushkilen mat puchh
Guman-e-uqda-kusha bhi nahin raha ab to
Mere vajud ka ab kya saval hai yaani
Main apne haq mei bura bhi nahin raha ab to
Yaqin kar jo teri aarzu mei tha pahle
Vo lutf tere siva bhi nahin raha ab to
Vo sukh vahan ki khuda ki hain bakhshishen kya kya
Yahan ye dukh ki khuda bhi nahin raha ab toA
No comments
Post a Comment