Kisi guman pe tavaqqo ziyada rakhte hain
Phir aaj ku-e-butan ka irada rakhte hain
Bahar aaegi jab aaegi ye shart nahin
Ki tishna-kam rahen garche baada rakhte hain
Teri nazar ka gila kya jo hai gila dil ka
To ham se hai ki tamanna ziyada rakhte hain
Nahin sharab se rangin to gharq-e-khoon hain ki ham
Khayal-e-vaz-e-qamis-o-libada rakhte hain
Gham-e-jahan ho gham-e-yar hoki tir-e-sitam
Jo aae aae ki ham dil kushada rakhte hain
Javab-e-vaiz-chabuk-zaban mei 'Faiz' hamen
Yahi bohot hain jo do harf-e-sada rakhte hain


No comments
Post a Comment