Kis shahr na shohra hua nadani-e-dil ka
Kis par na khula raaz pareshani-e-dil ka
Aao karen mahfil pe zar-e-zakhm numayan
Charcha hai bohot be-sar-o-samani-e-dil ka
Dekh aaen chalo ku-e-nigaran ka kharaba
Shayad koi mahram mile virani-e-dil ka
Puchho to udhar tir-fagan kaun hai yaaron
Saunpa tha jise kaam nigahbani-e-dil ka
Dekho to kidhar aaj rukh-e-bad-e-saba hai
Kis rah se payam aaya hai zindani-e-dil ka
Utre the kabhi 'Faiz' vo aaina-e-dil mei
Aalam hai vahi aaj bhi hairani-e-dil ka


No comments
Post a Comment