Kiye aarzu se paiman jo maal tak na pahunche
Shab-o-roz-e-ashnai mah o saal tak na pahunche
Vo nazar baham na pahunchi ki muhit-e-husn karte
Teri diid ke vasile khad-o-khal tak na pahunche
Vahi chashma-e-baqa tha jise sab sarab samjhe
Vahi khvab mo'tabar the jo khayal tak na pahunche
Tera lutf vajh-e-taskin na qarar sharah-e-gham se
Ki hain dil mei vo gile bhi jo malal tak na pahunche
Koi yaar jaan se guzra koi hosh se na guzra
Ye nadim-e-yak-do-saghar mera haal tak na pahunche
Chalo 'Faiz' dil jalaen karen phir se arz-e-janan
Vo sukhan jo lab tak aae pe saval tak na pahunche


No comments
Post a Comment