Saturday 13 October 2018

KHVAB KE RANG DIL-O-JAN MEI SAJAE BHI GAE


Khvab ke rang dil-o-jan mei sajae bhi gae
Phir vahi rang ba-sad taur jalae bhi gae

Unhi shahron ko shitabi se lapeta bhi gaya
Jo ajab shauq-e-farakhi se bichhae bhi gae

Bazm shokhi ka kisi ki kahen kya hal-e-jahan
Dil jalae bhi gae aur bujhae bhi gae

Pusht mitti se lagi jis mei hamari logo
Oosi danggal mei hamen daav sikhae bhi gae

Yad-e-ayyam ki ik mahfil-e-jan thi ki jahan
Haath khinche bhi gae aur milae bhi gae

Ham ki jis shahr mei the sog-nashin-e-ahval
Roz is shahr mei ham dhuum machae bhi gae

Yaad mat rakhiyo ye rudad hamari hargiz
Ham the vo taj-mahal 'Jaun' jo dhaae bhi gae

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.