Tuesday, 16 October 2018

KAI BAAR IS KA DAMAN BHAR DIYA HUSN-E-DO-ALAM SE


Kai baar is ka daman bhar diya husn-e-do-alam se
Magar dil hai ki is ki khana-virani nahin jaati

Kai baar is ki khatir zarre zarre ka jigar chera
Magar ye chashm-e-hairan jis ki hairani nahin jaati

Nahin jaati mata-e-lal-o-gauhar ki giran-yabi
Mata-e-ghairat-o-iman ki arzani nahin jaati

Meri chashm-e-tan-asan ko basirat mil gai jab se
Bohot jaani hui surat bhi pahchani nahin jaati

Sar-e-khusrao se naz-e-kaj-kulahi chhin bhi jaati hai
Kulah-e-khusravi se bu-e-sultani nahin jaati

Ba-juz divangi vaan aur chara hi kaho kya hai
Jahan aql o khirad ki ek bhi maani nahin jaati

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.