Tuesday, 16 October 2018

KABHI KABHI YAAD MEI UBHARTE HAIN NAQSH-E-MAZI MITE MITE SE


Kabhi kabhi yaad mei ubharte hain naqsh-e-mazi mite mite se
Vo azmaish dil o nazar ki vo qurbaten si vo fasle se

Kabhi kabhi aarzu ke sahra mei aa ke rukte hain qafile se
Vo saari baten lagav ki si vo saare unvan visal ke se

Nigah o dil ko qarar kaisa nashat o gham mei kami kahan ki
Vo jab mile hain to un se har baar ki hai ulfat nae sire se

Bohot giran hai ye aish-e-tanha kahin subuk-tar kahin gavara
Vo dard-e-pinhan ki saari duniya rafiq thi jis ke vaste se

Tumhin kaho rind o mohtasib mei hai aaj shab kaun farq aisa
Ye aa ke baithe hain mei-kade mei vo uth ke aae hain mai-kade se

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.