Kahun jo haal to kahte ho mudda kahiye
Tum hi kaho ki jo tum yun kaho to kya kahiye
Na kahiyo taan se phir tum ki ham sitamgar hain
Mujhe to khu hai ki jo kuchh kaho baja kahiye
Wo neshtar sahi par dil mei jab utar jaave
Nigah-e-naz ko phir kyun na ashna kahiye
Nahin zariya-e-rahat jarahat-e-paikan
Wo zakhm-e-tegh hai jis ko ki dil-kusha kahiye
Jo muddai bane us ke na muddai baniye
Jo na-saza kahe us ko na na-saza kahiye
Kahin haqiqat-e-jan-kahin-e-maraz likhiye
Kahin musibat-e-na-sazi-e-dava kahiye
Kabhi shikayat-e-ranj-e-giran-nashin kiije
Kabhi hikayat-e-sabr-e-guraz-pa kahiye
Rahe na jaan to qatil ko khoon-baha diije
Kate zaban to khanjar ko marhaba kahiye
Nahin nigar ko ulfat na ho nigar to hai
Ravani-e-ravish o masti-e-ada kahiye
Nahin bahar ko fursat na ho bahar to hai
Taravat-e-chaman o khubi-e-hava kahiye
Safina jab ki kinare pe aa laga 'Ghalib'
Khuda se kya sitam-o-jaur-e-na-khuda kahiye


No comments
Post a Comment