Jahan tera naqsh-e-qadam dekhte hain
Khayaban khayaban iram dekhte hain
Dil-ashuftagon khal-e-kunj-e-dahan ke
Suvaida mei sair-e-adam dekhte hain
Tere sarv-qamat se ik qadd-e-adam
Qayamat ke fitne ko kam dekhte hain
Tamasha ki ai mahv-e-aaina-dari
Tujh kis tamanna se ham dekhte hain
Suragh-e-taf-e-nala le dagh-e-dil se
Ki shab-rau ka naqsh-e-qadam dekhte hain
Bana kar faqiron ka ham bhes 'Ghalib'
Tamasha-e-ahl-e-karam dekhte hain
Kisu ko za-khud rasta kam dekhte hain
Ki aahu ko paband-e-ram dekhte hain
Khat-e-lakht-e-dil yak-qalam dekhte hain
Mizha ko javahar raqam dekhte hain


No comments
Post a Comment