Kahte to ho tum sab ki but-e-ghaliya-mu aae
Ek martaba ghabra ke kaho koi ki vo aae
Hun kashmakash-e-naza mei haan jazb-e-mohabbat
Kuchh kah na sakun par wo mere puchhne ko aae
Hai saiqa o shoala o simab ka aalam
Aana hi samajh mei meri aata nahi go aae
Zahir hai ki ghabra ke na bhangenge nakirain
Haan muh se magar bada-e-doshina ki bu aae
Jallad se darte hain na vaiz se jhagadte
Ham samjhe huwe hain oose jis bhes mei jo aae
Haan ahl-e-talab kaun sune tana-e-na-yafat
Dekha ki wo milta nahin apne hi ko kho aae
Apna nahin ye sheva ki aram se baithen
Us dar pe nahin baar to kaabe hi ko ho aae
Ki ham-nafason ne asar-e-girya mei taqrir
Achchhe rahe aap is se magar mujh ko dubo aae
Us anuman-e-naz ki kya baat hai 'Ghalib'
Ham bhi gae vahan aur teri taqdir ko ro aae


No comments
Post a Comment