Wednesday, 3 October 2018

KAHTE HO NA DENGE HAM DIL AGAR PADA PAAYA


Kahte ho na denge ham dil agar pada paaya
Dil kahan ki gum kiije ham ne mudda paaya

Ishq se tabiyat ne ziist ka maza paaya
Dard ki dava paai dard-e-be-dava paaya

Dost-dar-e-dushman hai eitmaad-e-dil maalum
Aah be-asar dekhi naala na-rasa paaya

Sadgi o purkari be-khudi o hushyari
Husn ko taghaful mei jurat-azma paaya

Ghuncha phir laga khilne aaj ham ne apna dil
Khoon kiya huwa dekha gham kiya huwa paaya

Hal-e-dil nahin maalum lekin is qadar yaani
Ham ne bar-ha dhunda tum ne bar-ha paaya

Shor-e-pand-e-naseh ne zakhm par namak chhidka
Aap se koi puchhe tum ne kya maza paaya

Hai kahan tamanna ka dusra qadam ya rab
Ham ne dasht-e-imkan ko ek naqsh-e-pa paaya

Be-dimagh-e-khajlat huun rashk-e-imtihan ta-kai
Ek bekasi tujh ko alam-ashna paaya

Khaak-bazzi-e-ummeed kar-khana-e-tifli
Yaas ko do-alam se lab-ba-khanda va paaya

Kyun na vahshat-e-ghalib ba-khvah-e-taskin ho
Kushta-e-taghaful ko khasm-e-khoon-baha paaya

Fikr-e-nala mei goya halqa hun ze-sar-ta-pa
Uzv uzv jun zanjir yak-dil-e-sada paaya

Shab nazara-parvar tha khvab mei khayal us ka
Subh mauja-e-gul ko naqsh-e-boriya paaya

Jis qadar jigar khoon ho kucha dadan-e-gul hai
Zakhm-e-tegh-e-qatil ko turfa dil-kusha paaya

Hai makin ki pa-dari nam-e-sahib-e-khana
Ham se tere kuche ne naqsh-e-mudda paaya

Ne 'Asad' jafa-sail ne sitam junun-maail
Tujh ko jis qadar dhunda ulfat-azma paaya

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.