Kabhi neki bhi us ke ji mei gar aa jaae hai mujh se
Jafaen kar ke apni yaad sharma jaae hai mujh se
Khudaya jazba-e-dil ki magar tasir ulti hai
Ki jitna khichta hun aur khinchta jaae hai mujh se
Wo bada-khu aur meri dastan-e-ishq tulani
Ibarat mukhtasar qasid bhi ghabra jaae hai mujh se
Udhar wo bad-gumani hai idhar ye na-tavani hai
Na pucha jaae hai us se na bola jaae hai mujh se
Sambhalne de mujhe ai na-ummeedi kya qayamat hai
Ki daman-e-khayal-e-yar chhuta jaae hai mujh se
Takalluf bartaraf nazzargi mei bhi sahi lekin
Wo dekha jaae kab ye zulm dekha jaae hai mujh se
Huwe hain paanv hi pahle nabard-e-ishq mei zakhmi
Na bhaga jaae hai mujh se na thahra jaae hai mujh se
Qayamat hai ki hove muddai ka ham-safar 'Ghalib'
Wo kafir jo khuda ko bhi na saunpa jaae hai mujh se


No comments
Post a Comment