Saturday 13 October 2018

KAAM MUJH SE KOI HUA HI NAHIN


Kaam mujh se koi hua hi nahin
Baat ye hai kimain to tha hi nahin

Mujh se bichhdi jo mauj-e-nikhat-e-yaar
Phir main us shahr mei raha hi nahin

Kis tarah tark-e-mudda kiije
Jab koi apna mudda hi nahin

Kaun huun main jo raegan hi gaya
Kaun tha jo kabhi mila hi nahin

Huun ajab aish-e-gham ki halat mei
Ab kisi se koi gila hi nahin

Baat hai raste pe jaane ki
Aur jaane ka rasta hi nahin

Hai khuda hi pe munhasir har baat
Aur aafat ye hai khuda hi nahin

Dil ki duniya kuchh aur hi hoti
Kya kahen apna bas chala hi nahin

Ab to mushkil hai zindagi dil ki
Yaani ab koi majra hi nahin

Har taraf ek hashr barpa hai
'Jaun' khud se nikal ke ja hi nahin

Mauj aati thi thaharne ki jahan
Ab vahan khema-e-saba hi nahin

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.